hamare dil mein koi aarzu nahin baqi

hamare dil mein koi aarzu nahin baqi
hamare phul mein ab rang-o-bu nahin baqi

bahut kahi dil-e-nadan adu nahin baqi
mera adu mere pahlu mein tu nahin baqi

tumhaare tir ki ab aarzu nahin baqi
hua hai pip kaleja lahu nahin baqi

ye mai-kada hai ki masjid ye aab hai ki sharab
koi bhi zarf bara-e-wuzu nahin baqi

dhara hai kya mere ghar mein ki mohtasib lega
pur-az-sharab wo jam-o-subu nahin baqi

wo rah ke ghair ki sohbat mein ho gae kuchh aur
wo baat pichhli si agli si khu nahin baqi

thaka pada hun to wamandgi ye kahti hai
unhen kisi ki bhi ab justuju nahin baqi

jo mai ki bund na nikli to pad gaya pani
ba-haal-e-khwesh subu ab subu nahin baqi

hamari aap ki baat uth rahi hai mahshar par
hamari aap ki kuchh guftugu nahin baqi

jo nikle khar to daman se suiyan uljhin
jagah zara si kahin be-rafu nahin baqi

badhi hai baat qayamat mein jhute wade par
wo munfail hai to kuchh guftugu nahin baqi

ye mohtasib hai abas ghar ko sunghta phirta
ki bund-bar bhi mai-e-mushk-bu nahin baqi

hua hai aaine ke sath aks ko sakta
kisi mein jaan tere ru-ba-ru nahin baqi

bahen sharab ke dariya to hum ko lutf nahin
ki sabza kuchh bhi lab-e-abju nahin baqi

badhi hai pak-nihadi ye baada-noshon ki
ki ab namaz mein qaid-e-wuzu nahin baqi

hamari aankh mein tarik bazm-e-alam hai
jo zeb-e-bazm the wo shama-ru nahin baqi

'riyaz' maut ko kyun maut aai jati hai
hamein to maut ki bhi aarzu nahin baqi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close