hamare haq mein koi inqalab hai ki nahin hamari samt khula dil ka bab hai ki nahin wo ek sawal-e-tamanna jo bar bar hua us ek sawal ka koi jawab hai ki nahin waraq waraq pe tera nam jis mein likkha hai wafa-o-mehr ki wo dil kitab hai ki nahin tera gunah bhi waiz sawab hai lekin hamare nek amal ka sawab hai ki nahin tumhaare nam mere dil ki dhadkanen jo huin tumhaare dil mein kuchh un ka hisab hai ki nahin hai mera zehn to takhliq-e-khwab mein masruf tumhaare zehn mein tabir-e-khwab hai ki nahin main dil ki baat 'munawar' zarur us se karun samaaton ki magar us ko tab hai ki nahin