hamare hath mein jab koi jam aaya hai

hamare hath mein jab koi jam aaya hai
to lab pe kitne hi pyason ka nam aaya hai

kahan ka nur yahan raat ho gai gahri
mera charagh andheron ke kaam aaya hai

ye kya ghazab hai jo kal tak sitam-rasida the
sitamgaron mein ab un ka bhi nam aaya hai

tamam umr kati us ki justuju karte
bade dinon mein ye tarz-e-kalam aaya hai

badhun to rakh banun mud chalun to pathra jaun
safar mein shauq ke nazuk maqam aaya hai

khabar bhi hai mere gulshan ke lala o gul ko
mera lahu bhi bahaaron ke kaam aaya hai

wo sar-phire jo nigah-dari-e-junun mein rahe
'surur' un mein hamara bhi nam aaya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close