hamare sabr ka ek imtihan baqi hai

hamare sabr ka ek imtihan baqi hai
isi liye to abhi tak ye jaan baqi hai

wo nafraton ki imarat bhi gir gai dekho
mohabbaton ka ye kachcha makan baqi hai

mera usul hai ghazlon mein sach bayan karna
main mar gaya to mera khandan baqi hai

main chand par hun magar mutmain nahin hun main
mere paron mein abhi bhi udan baqi hai

mita do jism se meri nishaniyan lekin
tumhaari ruh pe mera nishan baqi hai

tumhein to sach ko ugalne ki thi badi aadat
tumhaare munh mein abhi tak zaban baqi hai

hamari maut ko barson guzar gae lekin
badan ka khak se ab tak milan baqi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close