hamari kaif saza-war-e-ehtisab nahin

hamari kaif saza-war-e-ehtisab nahin
khayal-e-chashm hai kuchh saghar-e-sharab nahin

wo be-naqab hua hai to ye tamasha hai
do-chaar hone ki aankhon mein apni tab nahin

ye mujh ko us ke taghaful se hai yaqin ki hae
jawab-name so ai name ka jawab nahin

sama raha hai yahan tak pari-rukhon ka jamal
hamari aankhon mein khali maqam-e-khwab nahin

buton ke parde mein hum dekhte hain nur-e-khuda
khuda ke dekhne ki ai kalim tab nahin

wufur-e-ashk se kyon hai gale talak pani
hamara kasa-e-sar kasa-e-habab nahin

main bazm-e-shahid-o-saqi mein kyon na wajd karun
bara-e-zohd-o-wara aalam-e-shabab nahin

kiya hai dagh ne kyon us ko manzil-e-khurshid
hamara dil hai ye kuchh burj-e-aftab nahin

hua hai man-e-didar-e-yar parda-e-chashm
khuli jo aankh to kuchh darmiyan hijab nahin

ye zabt-e-girya mein aalam hai be-qarari ka
ki barq kaundti hai barish-e-sahab nahin

bashar ke jism mein hai jaan maya-e-ghaflat
so ai dida-e-taswir kis ko khwab nahin

dila hai mausam-e-piri mahal jam-e-sharab
baghair subh koi waqt-e-aftab nahin

main ghash se us ke chhidakte hi hoshiyar hua
kisi sanam ka pasina hai ye gulab nahin

bahut fareb se hum wahshiyon ko wahshat hai
hamare dasht mein 'nasikh' kahin sarab nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close