hamari samt hain sare Dhalaw

hamari samt hain sare dhalaw
pada har sail ka hum par dabaw

mile hain sada-lauhi ki saza mein
lutere nakhuda kaghaz ki naw

wahan bhi wahshaten tanhaiyan hain
zara sahra se wapas ghar to jao

na jaane kab ye aag aa jae bahar
ki sinon mein dahakte hain alaw

hawa ka jis taraf rukh ho gaya hai
usi jaanib hai shakhon ka jhukao

zamin kya aasman bhi muntazir hai
hisar-e-zat se bahar to aao

kahenge log 'ahsan' tum ko pagal
mohabbat hai to ye tohmat uthao


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close