hamari tarah koi dusra hua bhi nahin

hamari tarah koi dusra hua bhi nahin
wo dard dil mein rakha hai jo la-dawa bhi nahin

hamara dard ajab marhale mein hai ki jahan
wo be-sukhan bhi nahin aur lab-kusha bhi nahin

usi ko dekhti rahti hai chashm-e-shauq mudam
jo gham abhi sar-e-shakh-e-alam khula bhi nahin

ajib tarah se raushan hui hai khalwat-e-gham
ki raushni hai bahut aur diya jala bhi nahin

ye dasht-e-shauq bahut aafiyat-gazida hai
ki ab yahan pe to imkan-e-naqsh-e-pa bhi nahin

guzar hai kaisi fazaon se aaj tair-e-ishq
ki zer-e-bazu-e-parwaz ab khala bhi nahin

main aise shakhs ko zindon mein kya shumar karun
jo sochta bhi nahin khwab dekhta bhi nahin

ye ishq khak hi hone ka nam tha so hamein
sila mila bhi bahut aur sila mila bhi nahin

ye asr-e-nau ki chitaon mein aag kaisi hai
ki ruh rakh hui aur badan jala bhi nahin

tamam umr ajab waza-dariyon mein kati
use aziz rakha jo hamara tha bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close