hamein to ab ke bhi aai na ras tanhai

hamein to ab ke bhi aai na ras tanhai
tumhin batao ki hai kis ke pas tanhai

use bhi ab ke bahut ranj-e-narsai hai
khadi hai shahr ki sarhad ke pas tanhai

isi liye to na sahra mein hai na basti mein
ki ho na jae kahin be-libas tanhai

tawil hijr ne donon ko yun kharab kiya
ki us ke pas na ab mere pas tanhai

andheri raat mein aankhon mein khwab ki surat
kabhi kabhi nazar aai udas tanhai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close