han mera haal hai barbaad magar main to nahin

han mera haal hai barbaad magar main to nahin
tujh ko karta hai koi yaad magar main to nahin

barha khaliq-e-kaunain teri khidmat mein
pahunchi hogi meri fariyaad magar main to nahin

ahd-e-hazir mein lage misr ke bazaron mein
bik gai hai meri rudad magar main to nahin

kash hasti bhi meri dad ke qabil hoti
sher lete hain mere dad magar main to nahin

mohtaram log mujhe fan ke sabab jaante hain
mohtaram hain mere ustad magar main to nahin

dast-e-haidar se ghulami ki sanad jin ko mili
honge wo hazrat-e-miqdad magar main to nahin

sal ke sath badalna nahin aata 'kazim'
han badal jate hain aadad magar main to nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close