tera mai-KHwar KHush-aghaz-o-KHush-anjam hai saqi

tera mai-khwar khush-aghaz-o-khush-anjam hai saqi
ki dil mein yaad teri lab pe tera nam hai saqi

muhit daur-e-saghar charkh-e-nili-fam hai saqi
ghulam-e-chashm-e-maigun gardish-e-ayyam hai saqi

dil-e-nakaam ko ulfat se teri kaam hai saqi
mohabbat be-niyaz-e-ibrat-e-anjam hai saqi

zamane se alag ho kar mujhe duniya-e-ulfat mein
tera rukh roz-e-raushan zulf teri sham hai saqi

isi mein aa gai hai khinch ke saqi ruh taqwa ki
mata-e-din-o-iman qimat-e-ik-jam hai saqi

khuda rakkhe teri zulf-e-moambar ke tasawwur se
takhayyul mera ambar-biz-o-ambar-fam hai saqi

khudara is taraf bhi ek nigah-e-lutf ho jae
meri hasti hama hasrat hama aalam hai saqi

hue hain dil pe is se munkashif asrar hasti ke
nawa-e-qulqul-e-mina mujhe ilham hai saqi

sharaf teri ghulami ka badi mushkil se milta hai
zahe-qismat jo tera banda-e-be-dam hai saqi

azal se ta-abad yunhi rahega khak-e-mai-khana
'ghubar'-e-khasta-o-nakaam jis ka nam hai saqi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close