han pahle Darte the par ab mazaq karte hain

han pahle darte the par ab mazaq karte hain
hamare sath yahan sab mazaq karte hain

hum apni zat ki sanjidgi pe hanste hain
usul bante hain wo jab mazaq karte hain

mujhe yaqin to hona ki main yaqinan hun
main muntazir hun ki wo kab mazaq karte hain

hamein qubul tahajjud ke waqt se pahle
hum apni zat se har shab mazaq karte hain

shab-e-firaq sahife mein jab hai dhal jati
jo ashk zinda hon wo tab mazaq karte hain

khud apne jaisa unhen bhi na sakht-gir bana
kabhi kabhi to tere lab mazaq karte hain

main be-saliqa khayalon ka moatadil misra
sukhanwari ke jo hain dhab mazaq karte hain

hamein bhi shauq hai dekhen hansi ko bante hue
zara batao na wo kab mazaq karte hain

main ungliyon ke tasarruf mein raushni rakh dun
badan ke zawiye yarab mazaq karte hain

agar na pure taqaze hon adl ke 'kazim'
to kursiyon se bhi mansab mazaq karte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close