hangama-ha-e-baada-o-paimana dekh kar hum ruk gae hain rah mein mai-khana dekh kar ba-ehtiram saghar-o-mina badha diye saqi ne meri jurat-e-rindana dekh kar phir yaad aa gai hai teri chashm-e-mai-farosh mahfil mein raqs-e-baada-o-paimana dekh kar hairan hun un ke dida-e-hairan ko kya kahun diwane ho gae mujhe diwana dekh kar tauba ka ehtiram bhi lazim raha magar niyyat badal gai meri paimana dekh kar har aastan se garche rahe be-niyaz hum sajde mein gir gae dar-e-mai-khana dekh kar