haq baat pe marta hun to marne nahin dete

haq baat pe marta hun to marne nahin dete
ye ahl-e-jahan kuchh bhi to karne nahin dete

us par ki baaten to bahut karte hain lekin
kashti koi is par utarne nahin dete

har jurm mere nam kiye jate hain lekin
khud par koi ilzam wo dharne nahin dete

hai fikr unhen mar ke bhi main zinda rahunga
ye soch ke zalim mujhe marne nahin dete

is dahr ke maqtal mein bapa zulm hai aisa
mazlum ko fariyaad bhi karne nahin dete

manzil hai kadi aisi kadi bhi to nahin hai
wo rah-numa hain ki guzarne nahin dete

'rajas' unhen dawa hai bahut chaaragari ka
riste hue zakhmon ko jo bharne nahin dete


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close