haqiqat se jo aashna ho gaya quyud-e-hawas se riha ho gaya nuqush-e-amal ko mita kar koi amir-e-tilism-e-dua ho gaya wo qaid-e-tasawwur se aazad hai latafat ka jo aaina ho gaya tahi-damani se pasheman the hum wo tar-damani par khafa ho gaya hai chehron pe kyun chhai pazhmurdagi shagufta dilon ko ye kya ho gaya jo khud khaliq-e-muddaa tha kabhi wahi banda-e-muddaa ho gaya 'wafa' mai-kade ab na jae koi wo rind-e-azal parsa ho gaya