har aadmi kahan auj-e-kamal tak pahuncha uruj had se badha to zawal tak pahuncha khud apne aap mein jhunjhla ke rah gaya aakhir mera jawab jab us ke sawal tak pahuncha ghubar-e-kizb se dhundla raha hamesha jo wo aaina mere kab khadd-o-khal tak pahuncha chalo na sar ko utha kar ghurur se apna gira hai jo bhi bulandi se dhaal tak pahuncha jise bharosa nahin tha udan par apni wahi parinda shikari ke jal tak pahuncha tawaf karte rahe sab hi raste mein magar har ek shakhs hi gard-e-malal tak pahuncha meri najat ka hoga 'zafar' wasila wahi jo lafz nat ka mere khayal tak pahuncha