har aankh mein masti hai kahiye bhi to kya kahiye aur aap ki basti hai kahiye bhi to kya kahiye har shai se kinara bhi aur anjuman-ara bhi kya aap ki hasti hai kahiye bhi to kya kahiye but-khane mein din kata maikhane mein shab guzri nasha hai na masti hai kahiye bhi to kya kahiye ye daur sanam-parwar har shakhs yahan aazar sahra hai na basti hai kahiye bhi to kya kahiye wo mahfil-e-rindan ho ya bazm-e-sukhan-dan ho ahbab-parasti hai kahiye bhi to kya kahiye zahid ki subuk-fitrat rindon pe hamesha se aawaz hi kasti kahiye bhi to kya kahiye ahbab ki aankhon mein jo uns ki nagin hai ahbab ko dasti hai kahiye bhi to kya kahiye ek jins-e-kudurat thi jo pahle hi sasti thi ab aur bhi sasti hai kahiye bhi to kya kahiye duniya se 'aziz' us ko hoti hai mohabbat bhi duniya jise dasti hai kahiye bhi to kya kahiye