har dam kuchh iztirab ke aise bhanwar mein hun

har dam kuchh iztirab ke aise bhanwar mein hun
jaise kisi dua-e-zarar ke asar mein hun

bah jaun ban ke sail-e-rawan is zamin par
main ek udas sham kisi chashm-e-tar mein hun

khud ki talash mein hi zamane guzar gae
kya apni justuju hi ke dam-e-sahar mein hun

jaise kisi ujad kharabe mein gunj ho
maujud is tarah tere diwar-o-dar mein hun

manzil-shanas ban na saka main to kya hua
itna to jaanta hun ki rah-e-safar mein hun

'asim' mizaj mein hain tamannaen is tarah
jaise main aaj tak koi bachcha sa ghar mein hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close