har ek chhoTi se chhoTi baat par nadan nikalti hai

har ek chhoti se chhoti baat par nadan nikalti hai
kahin tum kho na jao soch kar hi jaan nikalti hai

na jaane kaise kaise dard sine mein sulagte hain
na jaane kaisi kaisi sans kuchh hairan nikalti hai

kitabat se na jo sikha wo duniya ne sikhaya hai
khushi kitni baja ho dard se pinhan nikalti hai

ajab hai zindagi mushkil hui aasan samjhe the
jahan samjha kiye mushkil wahin aasan nikalti hai

wahi jaan to nikalegi yahan par ho wahan par ho
jo ab tak yan nikalti thi wahi ab wan nikalti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close