har ek jannat ke raste ho ke dozaKH se nikalte hain

har ek jannat ke raste ho ke dozakh se nikalte hain
unhen ka haq hai phulon par jo angaron pe chalte hain

haqaeq un se takra kar nae sanchon mein dhalte hain
bade hi sakht-jaan hote hain jo khwabon pe palte hain

guman hota hai jin maujon pe ek naqsh-e-hubabi ka
unhi soi hui maujon mein kuchh tufan palte hain

wo raat aakhir hui to kya ye din kab rahne wala hai
sitare mand hote hain agar suraj bhi dhalte hain

talawwun chashm-e-saqi mein taghayyur waz-rindi mein
hamare mai-kade mein roz paimane badalte hain

haqaeq sard ho sakte hain sab mehrab-o-mimbar ke
magar wo khwab jo rindon ke paimane mein dhalte hain

junun ne aalam-e-wahshat mein jo rahen nikali hain
khirad ke karwan aakhir unhi rahon pe chalte hain

'surur'-e-sada ko yun to lahu rona hi aata hai
magar is sadgi mein bhi bade pahlu nikalte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close