har ek kitab nujumi ghalat batata hai

har ek kitab nujumi ghalat batata hai
meri hayat ka jab zaicha banata hai

kisi haweli mein jab wahshaten panapti hain
badan pe sabza-e-nau-rasta lahlahata hai

hamari nind mein girdab banne lagte hain
udas kamra ajab qahqahe lagata hai

muhib tera gupha mein badan hai sahma hua
bas ek jugnu hai jo hausla badhata hai

na jaane kitne nae khauf dasne lagte hain
wo mujh se milne ka jab silsila badhata hai

use harif kaho wasl-rut ke naghmon ka
darakht se jo parinde udae jata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close