har ek manzar badalta ja raha hai ye lamha bhi guzarta ja raha hai tera ehsas ek muddat se meri rag-o-pai mein utarta ja raha hai shikayat zindagi se karte karte wo ek ek lamha marta ja raha hai pada hai jab se tera aks is mein ye aaina sanwarta ja raha hai waraq yaadon ke kis ne khol dale mera kamra mahakta ja raha hai ye duniya to simatti ja rahi hai magar insan bikharta ja raha hai