har ek qadam pe jo pursan-e-haal chahiye tha

har ek qadam pe jo pursan-e-haal chahiye tha
to phir use bhi hamara khayal chahiye tha

wo rishte-naton ko rasman nibhane aaya tha
hamein dilon ka talluq bahaal chahiye tha

bulandiyon pe tawazun na rah saka qaem
yahan uruj ko thoda zawal chahiye tha

ghazal to aap se le leti padh bhi deti magar
mujhe adab mein bhi rizq-e-halal chahiye tha

kamal par hai ye ehsas in dinon 'nusrat'
koi hamein bhi yahan ba-kamal chahiye tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close