har ek sawal ka dete hain kyun jawab ghalat

har ek sawal ka dete hain kyun jawab ghalat
padha hai bachchon ne shayad sabhi nisab ghalat

hamare ahd-e-wafa ka kahin bhi zikr nahin
moarrikhon ne likhe ab ke sare bab ghalat

tanaben tut ke bikhrin tamam khemon ki
hawa ke rukh ka lagaya gaya hisab ghalat

khayal-e-shauq ki be-chehragi pe kya roen
dilon mein hum ne basae the sare khwab ghalat

ibaadaton ke maraatib buland hon kaise
tere amal mein guna ka hai irtikab ghalat

hum ehtisab-e-amal se gurez-pa hi rahe
na wo ghalat hai na us ka koi itab ghalat

dil-o-dimagh ki basti ujad bhi sakti hai
padhe jo aankh hamari koi kitab ghalat

masafaton ke kade kos sahl kya honge
agar safar mein mile koi ham-rikab ghalat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close