har ek ye kahta hai ab kar-e-din to kuchh bhi nahin

har ek ye kahta hai ab kar-e-din to kuchh bhi nahin
ye sach bhi hai ki maza be-yaqin to kuchh bhi nahin

tamam umr yahan khak uda ke dekh liya
ab aasaman ko dekhun zamin to kuchh bhi nahin

meri nazar mein to bas hai unhin se raunaq-e-bazm
wahi nahin hain jo ai ham-nashin to kuchh bhi nahin

haram mein mujh ko nazar aae sirf zahid-e-khushk
makan khub hai lekin makin to kuchh bhi nahin

tere labon se hai albatta ek halawat-e-zist
nabaat-e-qand-e-shakar angbin to kuchh bhi nahin

dimagh ab to mison ka hai charkh-e-chaarum par
badha diya meri khwahish ne thin to kuchh bhi nahin

ba-qaul-e-hazrat-e-'mahshar' kalam shaer ka
pasand aae to sab kuchh nahin to kuchh bhi nahin

wo kahte hain ki tumhin ho jo kuchh ho ai 'akbar'
hum apne dil mein hain kahte hamin to kuchh bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close