har ghaDi chashm-e-KHaridar mein rahne ke liye

har ghadi chashm-e-kharidar mein rahne ke liye
kuchh hunar chahiye bazar mein rahne ke liye

main ne dekha hai jo mardon ki tarah rahte the
maskhare ban gae darbar mein rahne ke liye

aisi majburi nahin hai ki chalun paidal main
khud ko garmata hun raftar mein rahne ke liye

ab to badnami se shohrat ka wo rishta hai ki log
nange ho jate hain akhbar mein rahne ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close