har ghadi ek hi jaisa kabhi socha na karo waqt harjai hai tum is pe bharosa na karo wo to baadal hai kahin ja ke baras jaega is qadar tut ke us shakhs ko chaha na karo ye bhi mumkin hai ki tum hath jala lo apna meri mazi ki kabhi rakh kureda na karo lakh apne hon kisi pal bhi badal jaenge ret ke mahal pe itna bhi bharosa na karo chand kirnen hi tere waste kafi hain 'nasim' khak ho jaoge suraj ki tamanna na karo