har ghaDi fikr-e-rasti kya hai

har ghadi fikr-e-rasti kya hai
ek musibat hai zindagi kya hai

ghup andhera hai mere chaaron-or
is mein thodi si raushni kya hai

bahut uljha hua hisab hai ye
mera khata hai kya bahi kya hai

nam hain nafs ki parastish ke
dosti kya hai dushmani kya hai

shahr mein rah ke dekhiye ek din
dur jangal mein rahebi kya hai

sari baaton ka main musannif hun
mere aage likhi suni kya hai

main ne dekha hai khun ki shamon se
gum-rahi kya hai rah-rawi kya hai

ahd-e-piri mein apni lauh-e-zamir
saf ho gar to khusrawi kya hai

ye tazadat ye sarab ye dil
zindagi kya hai aadmi kya hai

band ashkal mein muqayyad hun
aql kis kaam aagahi kya hai

sochta hun to kuchh nahin khulta
jaanta hun magar badi kya hai

dil mein waswas ya-ali kyun hai
sar-e-mahjub ya-nabi kya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close