har jalwa-e-husn be-watan hai shayad ki ye mahfil-e-sukhan hai ek wajd mein jism-o-jaan-e-fankar hai raqs ki ruh ka badan hai har fikr misal-e-chehra raushan har sher mein bu-e-pairahan hai kafur ki shamen jal uthi hain iblagh khayal ka kafan hai har saz ki aarzu takallum har saz sukut-e-pairahan hai