har lamha marg-o-zist mein paikar dekhna khinchi hui hai waqt ne talwar dekhna is dopahar ki dhup mein saya kahan mile din dhal chale to phir kahin diwar dekhna ab to safar ke sakht marahil hain aur hum jab pas aae manzil-e-dildar dekhna be-tabiyan hon lakh magar us ke ru-ba-ru chhoden na hath daman-e-pindar dekhna ai maslahat ki past zaminon ke basiyo kitni bulandiyan hain sar-e-dar dekhna zarra bhi aaftab se kamtar nahin yahan yaro magar ba-dida-e-bedar dekhna 'jawed' hum hain aur hai ehsas ka khulus yaron ke pas jhut ke tumar dekhna