har roz pahle roz se behtar mila hai KHauf

har roz pahle roz se behtar mila hai khauf
aisa nahin ki ek hi jaisa raha hai khauf

jis ne tumhaari nind ki duniya ujad di
mujh ko bhi ek aisi hi aawaz ka hai khauf

mere mizaj ka hai mera aks khadd-o-khal
sab se alag-thalag hun main sab se juda hai khauf

ye kaenat donon ki marzi se hai bani
teri ata hai zindagi meri ata hai khauf

apna bhi hath chhune se dar jae aadmi
meri samajh mein aa chuka kitna bura hai khauf

teri ata se badh ke to mumkin nahin hai dost
itna hi kha raha hun main jitna diya hai khauf

mere liye hai habs ka mausam bala-e-jaan
jaise diye ke waste biphri hawa hai khauf

ye soch mere waste hai masala bani
tujh mein khuda ka khauf hai ya phir khuda hai khauf

ek roz shahr-e-yar pe ban jaega azab
achchha hai ahl-e-shahr mein jo pal raha hai khauf

'shahid' adam ka hona aur na hona jaan le
yani wajud raushni hai aur khala hai khauf


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close