har safar ke baad waisa hi safar rakkha gaya

har safar ke baad waisa hi safar rakkha gaya
aur phir maqsum mera dar-ba-dar rakkha gaya

arsa-e-dasht-e-talab ko intiha bakhshi gai
mohlat-e-umr-e-rawan ko mukhtasar rakkha gaya

hum kahan sine ki tah mein ye samundar thamte
ek us khatir tujhe ai chashm-e-tar rakkha gaya

hasil-e-jaan par khas-o-khashak-e-hasrat khinch kar
darmiyan us dil ke khwahish ka sharar rakkha gaya

bosa-e-khurshid se khola sahar ka pairahan
zanu-e-shab par mah-e-kaamil ka sar rakkha gaya

din ke raston par bichai na-rasai ki thakan
nind ki dahliz par khwabon ka par rakkha gaya

muztarib rahti hai koh-o-dasht mein jaise hawa
is tarah sine mein sanson ka guzar rakkha gaya

aate-jate har-nafas mein maut ka tha zaiqa
raegan jine mein marne ka hunar rakkha gaya

khwahishen jagen jamal-e-yar ke didar se
paniyon par mah-e-uryan ka asar rakkha gaya

umr bhar 'sarmad' thi jis ko yaad rakhne ki saza
samna us shokh se ek lamha bhar rakkha gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close