har samt uDi gard mere shahr-e-guman mein

har samt udi gard mere shahr-e-guman mein
mahsur tamanna hai zamane ke dhuan mein

sannate ka jo qissa sunane mein magan hai
raqsan tha kabhi shor usi ujde makan mein

khushiyon ko badan par jo lapete hue kal tha
hai aaj sharabor wahi dard nihan mein

madum hua gul ka nishan sahn-e-chaman se
khushbu hai magar ab bhi basi baad-e-rawan mein

har khwab ki tabir nazar aai hirasan
napaid hua josh-e-junun mard-e-jawan mein

farda ki gali mein wo bada kaam karegi
ek zid hai khilaune ki jo masum fughan mein

guzri hui saat ko palatne mein laga hai
kuchh baat nazar aai use kar-e-ziyan mein

pur-kaif hui 'sahni' har sans ki aahat
mauhum ishaara jo mila waqt-e-giran mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close