har sans ko mahkaiye ab der na kije

har sans ko mahkaiye ab der na kije
ek phul sa khil jaiye ab der na kije

ek jam mohabbat se masarrat se bhara jam
chhalkaiye chhalkaiye ab der na kije

sach kahta hun ek umr se pyasi hai ye mahfil
paimana-ba-kaf aaiye ab der na kije

sawan ki ghata ban ke sulagti hui rut mein
duniya pe baras jaiye ab der na kije

zanjir mein jakde hue diwanon ko apne
suli se utarwaiye ab der na kije

sannata har ek ruh ko ab dasne laga hai
ek git koi gaiye ab der na kije

is ahd-e-sharar-bar pe phir amn ki shabnam
barsaiye barsaiye ab der na kije

talwaron ne chamkaya hai maqtal ki zamin ko
talwaron ko dafnaiye ab der na kije

ek aur hasin khwab ki mit jae shab-e-gham
'dauran' ko bhi dikhlaiye ab der na kije


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close