har sans mahakta hua ehsas hai zinda

har sans mahakta hua ehsas hai zinda
dil mein tere milne ki abhi aas hai zinda

ashkon ne koi jis pe ibarat nahin chhodi
mahsus ye hota hai wo qirtas hai zinda

ab jam nahin zahr ka pyala hai zaruri
pyase ko gila hai ki abhi pyas hai zinda

dharti mein jaden gad ke sar apna uthae
barish ke tasawwur mein hari ghas hai zinda

be-jaan samajh kar jise wo chhod gaya tha
'masum' wo taswir mere pas hai zinda


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close