har shab-e-gham ki sahar bhi hogi

har shab-e-gham ki sahar bhi hogi
zindagi hai to basar bhi hogi

wo zamana bhi kabhi aaega
dil ki jab dil ko khabar bhi hogi

dard kam-kam nahin afzun hoga
chashm pur-nam nahin tar bhi hogi

aatish-e-ishq jise kahte hain
wo idhar hai to udhar bhi hogi

zulm hi zulm na hoga aakhir
pyar ki ek nazar bhi hogi

main khata-kar-e-nazar hun lekin
ye khata bar-e-digar bhi hogi

kitne wo ahl-e-nazar hain jin ki
husn-e-mani pe nazar bhi hogi

jaane kya haal hamara hoga
jab mohabbat ki nazar bhi hogi

hum bhi honge tera gham bhi hoga
shab bhi aaegi sahar bhi hogi

jalwa-e-ghuncha-o-gul bhi hoga
shokhi-e-barq-o-sharar bhi hogi

azm bebak safar bhi hoga
rah pur-khauf-o-khatar bhi hogi

har aziyyat hi muqaddar hai agar
dasht to dasht hai ghar bhi hogi

bach rahi aaj hawadis se agar
har kali kal gul-e-tar bhi hogi

ranj rahat mein badal jaega
khair dar-parda-e-shar bhi hogi

kuchh sitare bhi darakhshan honge
kuchh meri gard-e-safar bhi hogi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close