har taraf raat ka phaila hua dariya dekhun kis taraf jaun kahan thahrun ki chehra dekhun kis jagah thahrun ki mazi ka sarapa dekhun apne qadmon ke nishan par tera rasta dekhun kab se main jag raha hun ye bataun kaise aankh lag jae to mumkin hai sawera dekhun na-khuda zat ki patwar sambhaale rakhna jab hawa tez chale khud ko shikasta dekhun din jo dhal jae to phir dard koi jag uthe sham ho jae to phir aap ka rasta dekhun ab ye aalam hai ki tanhai hi tanhai hai ye tamanna thi kabhi khud ko bhi tanha dekhun dida-e-khwab ko ummid-e-mulaqat na de kis tarah apne hi khwabon ko sisakta dekhun rang dhul jaen ghubar-e-gham-e-hasti ke 'asar' ab ke manzar koi dekhun to anokha dekhun