har taraf tez aandhiyan rakhna beach mein mera aashiyan rakhna dhup chhat par hawa ho kamre mein lawn mein shokh titliyan rakhna chand barse tasalliyon ki tarah ghar mein do-chaar khidkiyan rakhna apni duniya hai dil-fareb bahut ek dil ko kahan kahan rakhna tu rahega jahan zamin hai teri main jahan hun mujhe wahan rakhna lafz mil jaen to bayan hoga hont kanpe to ungliyan rakhna banh phaile to tum ko chhu aae fasla itna darmiyan rakhna mere lafzon mein dard de yarab mere munh mein meri zaban rakhna