har waqt fikr-e-marg-e-gharibana chahiye sehhat ka ek pahlu marizana chahiye duniya-e-be-tariq mein jis samt bhi chalo raste mein ek salam rafiqana chahiye aankhon mein umde ruh ki nazdikiyon ke sath aisa bhi ek dur ka yarana chahiye kya pastiyon ki zillaten kya azmaton ke fauz apne liye azab judagana chahiye ab dard-e-shush bhi sans ki koshish mein hai sharik ab kya ho ab to nind ko aa jaana chahiye raushan taraiyon se utarti hawa mein aaj do chaar gam laghzish-e-mastana chahiye 'amjad' in ashk-bar zamanon ke waste ek saat-e-bahaar ka nazrana chahiye