hari thi shaKH to baiTha na us pe panchhi kyun

hari thi shakh to baitha na us pe panchhi kyun
lage hai ujde hue khwab si ye basti kyun

mujhe khabar hai mere ghar mein sanp aankhen hain
wagarna gham ke khazine chhupa ke rakhti kyun

tumhi se tohmat-e-alam ko nisbaten mausum
tumhein ko kahte hain sab log sab se achchhi kyun

khizan ko mere hi khwabon ke nam kyun likkha
zamin ne apni ye daulat mujhi ko saunpi kyun

mera wajud bhi kya kuchh khuda se milta hai
sawal-e-shak se hai begana meri hasti kyun

ye ashk silsila-e-jaan ke bolte lab hain
chhupa ke daulat-e-nayab tum ne rakkhi kyun

wajud apna kise kab aziz tha 'nahid'
hui hai sham se pahle hi sham gahri kyun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close