harif-e-matlab-e-mushkil nahin fusun-e-niyaz

harif-e-matlab-e-mushkil nahin fusun-e-niyaz
dua qubul ho ya rab ki umr-e-khizr daraaz

na ho ba-harzah bayaban-naward-e-wahm-e-wajud
hanuz tere tasawwur mein hai nasheb-o-faraaz

visal jalwa tamasha hai par dimagh kahan
ki dije aaina-e-intizar ko pardaz

har ek zarra-e-ashiq hai aaftab-parast
gai na khak hue par hawa-e-jalwa-e-naz

na puchh wusat-e-mai-khana-e-junun 'ghaalib'
jahan ye kasa-e-gardun hai ek khak-andaz

fareb-e-sanat-e-ijad ka tamasha dekh
nigah aks-farosh o khayal aaina-saz

zi-bas-ki jalwa-e-sayyaad hairat-ara hai
udi hai safha-e-khatir se surat-e-parwaz

hujum-e-fikr se dil misl-e-mauj larze hai
ki shisha nazuk o sahba-e-abgina-gudaz

'asad' se tark-e-wafa ka guman wo mani hai
ki khinchiye par-e-tair se surat-e-parwaz

hanuz ai asar-e-did nang-e-ruswai
nigah fitna-khiram o dar-e-do-alam baz


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close