harim-e-jabr mein khamosh bhi raha na gaya safir-e-shab ko naqib-e-sahar kaha na gaya ajib kaifiyat-e-karb hai fazaon mein gulon ne barha chaha magar hansa na gaya shab-e-sitam ka bayan jurm hi sahi kije guman na ho ki sar-e-bazm kuchh kaha na gaya khayal-e-khatir-e-saqi ki khair rindon mein kahin bhi tazkira-e-tishnagi suna na gaya dayar-e-ishq hai goya dayar-e-karb-o-bala yahan se uth ke koi dard-ashna na gaya ajab tarah ke musafir the hum ki baith rahe bhatak ke rah se do gam bhi chala na gaya hazar marhala-e-jabr se hue do-chaar dil-e-'shamim' se jine ka hausla na gaya