harim-e-naz kahan aur sar-e-niyaz kahan

harim-e-naz kahan aur sar-e-niyaz kahan
kahan ka sajda kise hosh hai namaz kahan

mujhe khabar hi nahin hai harim-e-naz kahan
niyaz-mand kahan aur be-niyaz kahan

padi hai kya use hasrat zadon mein aane ki
ye meri bazm kahan aur wo mahw-e-naz kahan

ye mana husn-e-haqiqat ayan majaz mein hai
magar wo jalwa hai ai chashm-e-imtiyaz kahan

ilaj kis ka karega ye puchhta kya hai
bataen kya tujhe hai dard chaarasaz kahan

kabhi to milti thi hijr-o-visal mein lazzat
magar bujhi hui dil mein wo soz-o-saz kahan

duaen mangta hai shaikh kyun maaz-allah
khuda ka nam le tauba ka dar hai baz kahan

bade maze se guzarti hai baada-khwaron ki
ba-juz sharab khayal-e-shab-e-daraaz kahan

mila wo be-khudi-e-shauq mein maza ai 'shauq'
junun-o-ishq mein baqi hai imtiyaz kahan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close