hasin dimagh mile jagta shuur mile

hasin dimagh mile jagta shuur mile
khuda kare ki tujhe raste mein nur mile

bahut hai saya-e-bedar khalwat-e-gham ka
ki khalwaton ke amin be-khudi mein chur mile

yahi jatan hai ki taqdir sar-nigun na rahe
use bhi is nigah-e-naz ka ghurur mile

hasin-tar ho zamana jamil-tar ho hayat
agar lagan na lage khak phir surur mile

unhen nigah ki aaghosh mein basaya tha
khuli nigah to wo zindagi se dur mile

wo jin ko tere taghaful ne kar diya mujrim
meri nazar ko wahi log be-qusur mile

main khud hi dard se daman bacha ke guzra hun
wagarna zist ko parwaz-e-gham zarur mile


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close