hasin hai shahr to ujlat mein kyun guzar jaen

hasin hai shahr to ujlat mein kyun guzar jaen
junun-e-shauq use bhi nihaal kar jaen

ye aur baat ki hum ko nazar nahin aae
magar wo sath hi rahta hai hum jidhar jaen

hayat-e-ishq ka maqsud ban gai aakhir
ye aarzu ki tera nam le ke mar jaen

ye rah-e-ishq hai aakhir koi mazaq nahin
saubaton se jo ghabra gae hon ghar jaen

pahunch ke manzil-e-maqsud par hi dam lenge
ki chal pade hain to kis munh se laut kar jaen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close