hasin lamhe guzar gae yaro khwab sare bikhar gae yaro main to tanha sa rah raha tha magar ki wo dil mein utar gae yaro meri manzil bana wahi rasta wo jidhar se guzar gae yaro ab to jine se khauf aata hai jaane kya dil pe kar gae yaro wo hi ghabra raha tha milne se hum to sham-o-sahar gae yaro aansu 'ejaz' ke na thamte the jab bhi us ke nagar gae yaro