hawa aashufta-tar rakhti hai hum aashufta-haalon ko

hawa aashufta-tar rakhti hai hum aashufta-haalon ko
baratna chahti hai dasht-e-majnun ke hawalon ko

na aaya kuchh magar hum kushtagan-e-shauq ko aaya
hawa ki zad mein aakhir be-sipar rakhna khayalon ko

khuda rakkhe tujhe ai naqsh-e-diwar-e-sanam-khana
kahenge log diwar-e-abad teri misalon ko

andheri raat mein ek dasht-e-wahshat zindagi nikli
chala jata hun daman-e-nazar deta ujalon ko

bujha jata hai dil sa ek lal-e-shab charagh aakhir
kahan le jaun us ke sath ke sahib-jamalon ko

khadi hai taj pahne shahr mein khar-e-mughilan ka
jawab-e-taza dene zindagi kohna sawalon ko

khayaban khandaqon mein khul gae wo mauj-e-khun guzri
hawa-e-zakhma-war ne saz samjha hai nihaalon ko

nikalne hi na pae halqa-e-dasht-e-tamanna se
mili thi gardish-e-parkar aisi kuchh ghazalon ko

subu mein maujzan aab-e-zamir-e-mai-gusaran hai
tulu-e-subh tak raushan rakkhenge hum piyalon ko

kabud o surkh mein thi nek o bad mein dagh o darman mein
hawa sayyah thi dekh aai sab gham ke shiwalon ko

taghayyur ki zamin par aadmi ka tez-rau partaw
gaya hai surat-e-mishal liye aainda salon ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close