hawa bahut hai mata-e-safar sambhaal ke rakh

hawa bahut hai mata-e-safar sambhaal ke rakh
darida chadar-e-jaan hai magar sambhaal ke rakh

phir us ke baad to qadren inhin pe utthengi
kuchh aur roz ye diwar-o-dar sambhaal ke rakh

abhi udan ke sau imtihan baqi hain
in aandhiyon mein zara baal-o-par sambhaal ke rakh

ye ahd kanp raha hai zamin ke andar tak
tu apna hath bhi diwar par sambhaal ke rakh

padhenge log inhin mein kahaniyan teri
kuchh aur roz ye daman-e-tar sambhaal ke rakh

hawa ke ek hi jhonke ki der hai 'qaisar'
kisi bhi taq pe sham-e-sahar sambhaal ke rakh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close