hawa ke war pe ab war karne wala hai

hawa ke war pe ab war karne wala hai
charagh bujhne se inkar karne wala hai

khuda kare ki tera azm barqarar rahe
zamana rah mein diwar karne wala hai

wahi dikhaega tujh ko tamam dagh tere
jise tu aaina-bardar karne wala hai

ye war to kabhi khali nahin gaya mera
koi to us ko khabar-dar karne wala hai

usi ne rang bhare hain tamam phulon mein
wahi shajar ko samar-dar karne wala hai

zamin bech ke khush ho rahe ho tum jis ko
wo sare ganw ko bazar karne wala hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close