hawa ki chadar-e-sad-chaak oDhe ja rahe hain

hawa ki chadar-e-sad-chaak odhe ja rahe hain
sawaro kis taraf munh-zor ghode ja rahe hain

hamein bhi yaad kar lena jab un par phul aaen
hum apna khun paudon par nichode ja rahe hain

samar to kya shajar par koi patta bhi nahin hai
magar hum hain ki shakhon ko jhinjhode ja rahe hain

ye kis subh-e-haqiqat mein khuli hai aankh meri
ki tere khwab bhi ab sath chhode ja rahe hain

main kis dukh se akele dekhta jata hun un ko
faza mein panchhiyon ke chand jode ja rahe hain

wo jis ki amn ki buniyaad par tamir ki thi
'amir' us shahr-e-jaan mein zulm tode ja rahe hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close