hawa mein uD na jae dastan dil ki dhuan ho kar

hawa mein ud na jae dastan dil ki dhuan ho kar
ghazal main ne kahi hai bolti si be-zaban ho kar

hamare jism par suraj sitare chand chamkenge
agar hum phail jaenge jahan mein aasman ho kar

mere pichhe bahut ashkon bahut yaadon ki duniya hai
chala hun is zamin par har jagah main karwan ho kar

yaqinan phulon ki khushbu mein ja kar ghul gai hogi
hawa kuchh der pahle hi gai mere yahan ho kar

kisi chaurah pe jab zindagi ja kar bhatakti hai
mohabbat rah batlati hai wo guzre kahan ho kar

bahut nazdik se tanhaiyan main ne nibhai hain
jahan ki bhid se thoda yahan thoda wahan ho kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close